Tuesday, 26 March 2013

Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?


Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum?
Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?
Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum?
Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum?
Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain
Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum
Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai!
Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?

Thursday, 14 March 2013

Haal-e-dil hum bhi sunate lekin,


Haal-e-dil hum bhi sunate lekin,
Jab wo rukhsat howa tab yaad aya..

Sunday, 10 March 2013

 Janey kya bat hoi hai jo khafa betha hai, 
 
EmO SaaD BlaCk&WhiiTe (LeeR DeScRiiPciiOn)

Janey kya bat hoi hai jo khafa betha hai,
Mujhsey ik shakhs bagawat pey tula betha hai,
Wo parinda jisey parwaz sey fursat hi na thi,
Aj tanha hai to dewar par aa betha hai,
Bolta hai mujhey azn e khmoshi dey kar,
Kon hai jo pas e izhar chupa betha hai,
Tum bhi manjmla arbab e jafa nikley ho,
Tum to kehtey they har dil me khuda betha hai,
Thak gya dasht e talb main to sawali ban kar,
Mera saya meri dehleez par aa betha hai,
Tu kitabon me kisey dhondta rehta hai saleem,
Ye tu kya rogg merey yar laga betha hai.

Sunday, 3 March 2013

Mujhey tum nazar sey gira to rahey ho..

 

  Mujhey tum nazar sey gira to rahey ho,
Mujhey tum kabhi bhi bhula na sako gey,
Na janey mujhey kiyon yaqeen ho chala hai,
Meri yad ko tum mita na sako gey,

Meri yad ho gi jidhar jao gey tum,
Kabhi nagma ban key kabhi ban kay anso,
Tarpata mujhey har taraf pao gey tum,
Shamma jo jalai hai meri wafa ney,
Bhujana bhi chaho bhuja na sako gey,

Kabhi naam baton me aya jo mera,
To be chain ho ho kay dil thaam lo gey,
Nigahon pey chaye ga ghum ka andhera,
Kisi ney jo pocha sabab anso’on ka,
Batana bhi chaho bata na sako gey.

Masroor Anwar