Sunday, 20 January 2013

  May Dil May Apni Faqat Teri Tamanna Rakhu,




May Dil May Apni Faqat Teri Tamanna Rakhu,
Hatailiyo Pay Tere Naam Ki Zia Rakhu,
May Apnay Dil May Kisi Aur Ko Na Basnay Du,
Teri Khaloos Mohabbat Teri Wafa Rakhu,
Tu Bewafayi Ki Tarikiyo May Na Batkay,
May Tere Dil May Mohabbat Ki Ik Dia Jalaye Rakhu,
Akher Umar May Ik May Tera Sahara Hoon,
Wajood Apna Tere Wastay Ata Rakhu.
 Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki


Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki
Maa Ki Rida Tou, Din Howe, Neelaam Ho Chuki
Ab Aasmaa.n Se Chadar-e Shab Aaye Bhi Tou Kiya
Be-Chadari Zameen Pe iLzaam Ho Chuki
Ujrey Howe Diyaar Pe Phir Kiun Nigah Hai
Is Kasht Per Tou Barish-e-Ikraam Ho Chuki
Sooraj Bhi Os Ko Dhoond Ke Wapas Chala Gaya
Ab Ham Bhi Ghar Ko Lout Chalain Shaam Ho Chuki
Shimley Sambhaaltey Hee Rahay Maslehat Pasand
Hona Tha Jis Ko Pyaar Main Bad-Naam Ho Chuki
Aankhain Hain Aur Subha Talak Tera Intezaar
Mishal Bad’dast Raat Terey Naam Ho Chuki
Koh-e-Nida Se Bhi Sukhan Utrey Agar, Tou Kiya
Na-Sameoo.n Main Hurmat-e-iLhaam Ho Chuki
 Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho


Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai
Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai
Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai
Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai
Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili
Mohabbat ki Kahani me koi Tarmeem Mat Krna,
 
 
Mohabbat ki Kahani me koi Tarmeem Mat Krna,
Mujhe Tm Torr Dena pr Mujhe Taqseem Mat Krna,
Boht Honge Humaray Baad Daawa-e-Mohabbat krne Wale,
Yaad-e-Wafa Rakhna Ksi ko Tasleem Mat Krna,
Agar Lafzon me Aae Nazar Chehra Mera,
Chupke se Choo Lena Magr Toheen Mat Krna….
 Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,


Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,
Ke thaktaa ja raha hai humsafar ahistaa ahistaa..
Ab aap kis liye pareshaan hotey hain


Ab aap kis liye pareshaan hotey hain,
Diya tha ranj to kuch soch kar diya hota..