Tuesday, 26 February 2013

 Mohabbat tark ki main ney gireban si liya main ney



Mohabbat tark ki main ney gireban si liya main ney,
Zamaney ab to khush ho zehar ye bhi pi liya main ney,

Abhi zinda hun lekin sochta rehta hun khuloot me,
Kay ab tak kis tamanna kay saharey ji liya main ney,

Inhey apna nahi sakta magar itna bhi kaya kam hai,
Kay muddat haseen khwabon me kho kar ji liya main ney,

Bas ab damn-e-dil choor do bekaar ummedo,
bohat dukh seh liya main ney bohat ji liya main ney.

Sahir ludhyanvi


Sunday, 10 February 2013

Ab kya kahen kya mashghla hum dil’zada logon ka hai

Ab kya kahen kya mashghla hum dil’zada logon ka hai,

                             
Ab kya kahen kya mashghla hum dil’zada logon ka hai,
Awaargi shamon ki hai, aur jaagna raton ka hai,
Dehshat si kuch raston mein hai, kuch shor sa pato’n ka hai,
Ik sarsaraata sa weham shaam ka lamhon ka hai,
Waadon ki rut ruskhsat hui, baaton ko chup si lag gayi,
Milna to ab khawbon mein hai, rishta to bas yadon ka hai,
Jo harf dil pe lage, un ki khalish jo qaatil bani,
Jo keh ke hum mujrim huye, rona ab un baaton ka hai..

Saturday, 26 January 2013




Saturday, 4 February 2012


Milan ki aarzoo krna.

Milan ki aarzoo krna.Safar ki justajoo krna.
Jo Tum mayoos ho jao.
Toh Mujh se guftagoo krna.
Ye aksar ho bhi jata hay.
Kay koi kho bhi jata
hay.
Muqaddar ko satao gay Toh phir yeh so bhi jata hay.
Agar Tum hosla rakho.
Wafa ka silsala rakho.
Jo Tum se pyar kar bethey.
To us sey rabta rakho.
Main yeh daaway sey kehta hoon.
Kabhi nakaam na ho gay.
Muhabbat ko samjh jaao.
Kabhi badnaam na ho gay









Saturday, 4 February 2012

Milan ki aarzoo krna.

Milan ki aarzoo krna.Safar ki justajoo krna.
Jo Tum mayoos ho jao.
Toh Mujh se guftagoo krna.
Ye aksar ho bhi jata hay.
Kay koi kho bhi jata
hay.
Muqaddar ko satao gay Toh phir yeh so bhi jata hay.
Agar Tum hosla rakho.
Wafa ka silsala rakho.
Jo Tum se pyar kar bethey.
To us sey rabta rakho.
Main yeh daaway sey kehta hoon.
Kabhi nakaam na ho gay.
Muhabbat ko samjh jaao.
Kabhi badnaam na ho gay